You're browsing: Home / Meri awaaz suno / Dil Rafi Pe Kurbaan

Dil Rafi Pe Kurbaan

Ghazal written by Sarah Modi.

Mohd Rafi

Mohd Rafi

I am a huge fan of Rafi. Here is my tribute to him in form of a ghazal I wrote and composed for him. It is only for Rafiana. This song is copyrighted and unauthorized copy or distribution of it is prohibited.

badhawaasi ke is shor mein
ek sukoon ki sadaa hain rafi
mohabbat ke noor ki
ek haseen adaa hain rafi

na poocho hum diwano se ke
kyun humare dard ki aah hain rafi
manzil pe bhatke hain jo musafir
unki mukammal raah hain rafi

woh mosiqi jo rooh se nikalkar
rooh tak pahunche
us mosiqi ka izhaar hain rafi
jo dawa mein mile, na duaa mein
haal-e-dil ka aisa karaar hain rafi

woh pyaar jo dhalta nahin
waqt ke dhalne se
us pyaar ki awaaz hain rafi
bebaak, bearth ke nagmo ko saraahne walo
tum kya jaano ke
kis dilkashi ka andaaz hain rafi

milega na jo husn ke jalwo mein
ya masti ke paimano mein
roohdari ka aisa nashaa hain rafi
jo jayega na khushiyon ke chale jaane se
zindagi ka woh mazaa hain rafi

jo guzare saanson ki har harqat se
woh ahsaas hain rafi
jo thahare nigaahon ki har hasrat mein
woh pyaas hain rafi

zindagi ki gehraai se
jo shaayar hote hain rubaru
unki shayari ka khayaal hain rafi
bezaar se is jahaan mein
woh zahaanat ki misaal hain
khuda ka ek kamaal hain rafi

Proclaim your love for Rafi Sahab on twitter

Post your Comment on this Blog

If your comments hit the moderation queue, comments will be moderated within 7 days.

42 Blog Comments to “Dil Rafi Pe Kurbaan”

  1. Mohan Dharma.S says:

    *******AADAAB RAFI*******
    Main bhi khush kismat logon me hoon, Jo maine RAFI SAHAB ko direct dekha hain, total 9 to 10 hours, 2 baar
    Live program in 29th January 1978,& 1979. when my age
    was 23 & 24 years, sabse badi khushi mujhe naseeb huyi
    jab Farishta RAFI SAHAB ko chooliya, RAFI SAHAB se haath
    bhi milaya, aaj bhi o manzar aankhon me hai aur hamesha
    rahega. aur last moment me 2 hours stage se10ft. doorse
    RAFI ji ko gaate dekha,RAFI ji ne mujhe Hans kar haathon se
    ishaara bhi kiya mujhe dekhkar ye RAFI ji ka muskurana

  2. poonam vyas says:

    suroon ke sartaj hain rafi sahab ,diloon ko chu jaye aise awaz hein rafi sahab ,pata nahi kyun bhagvan ko bhi farishton ki zaroot hoti hain …

  3. poonam vyas says:

    suroon ke sartaj hain rafi sahab ,diloon ko chun jaye aise awaz hein rafi sahab ,pata nahi kyun bhagvan ko bhi farishton ki zaroot hoti hain …

  4. jamil ahmed says:

    sabhi ne kuchh na kuchh kaha rafi saahab ke liye to mera dil karta he ke main bhi kuchh kahu,
    “gaane ka rafi ko yeh andaaz khuda ne diya,
    Chhu liya qatra to samandar bana diya.”
    Rafi saahab ki aawaz qudrat ka karishmaa hai,
    Regards to all fans of legend rafi saahab.

  5. jamil ahmed says:

    sarah ji,
    Aadab, rafi saahb ke baare me aapne bahot khoob farmaya bas isi tarah rafi saab ke baare likhte rahe yehi duaa karta hu- jamil ahmed

  6. BALWANTSAQI says:

    MOHAMMAD RAFI KA BAHUT FAN HOON MAIN KAH RAHA HAI AMITABH BACHCHAN.MERE DESH WASIO MOHAMMAD RAFI PER.CHALA HOON MAIN PHIR SE FILM IK BANANE RAFI BHOOL JAAOON YE MUMKIN NAHIN HAI KAHE DEKH TUJH KO TERA DEV ANAND.MERI ZINDAGI MAIN YAHI GAMM HAI MUJH KO.TUJHE KIYOON UTHAYA JAHAN SE KHUDA NE.NASHE MAIN HOON LEKIN MUJHE YE KHABAR HAI ZAMANE MAIN TUJH KO SABHI SUN RAHE HAIN.MUJHE DUNIYA WALO SHARABI NA SAMJHO DALIP GA RAHA HAI YOON SAQI MAIKHANE

  7. BALWANT SAQI says:

    TUJHE BHOOL SAKTA HAI KAISE JATINDER TERI YAAD RAHTI HAI SADA DIL KE ANDAR.RAFI TUNE GAYE BAHUT HI SUREELE TARANE MERE WASTE AASHIQANE.SITARON SE AGE JAHAN AUR BHI HAIN. RAFI TERE AASHIQ YAHAN AUR BHI HAIN.MANOJ HAI VINOD HAI SHATRU HAI RISHI HAI.KAHAN TAK LAGON MAIN TUJHE AB GINANE. TERA FAN DEKHO UDIT GA RAHA HAI GAZAL AIK HAAYE BAHUT KHOOBSOORAT.HASEENON KO AATE HAIN KAYA KAYA BAHANE.KHUDA BHI NA JAANE TO HUM KAISE JAANE

  8. BALWANTSAQI says:

    TUJHE PAYAR KARTE HAIN KARTE RAHANGE.KE DIL BANKE DIL MAIN DHADAKTE RAHANGE LABON PE RAHANGE TERE HI FASANE.YE MANA MERI JAAN MOHOBAT SAZA HAI.MAGAR IS MAI MAZA KIS LIYE HAI.RAFI KON GAYEGA GAZAL AISI HAAYE JISE SUN KE SARE LAGAIN DAGMAGANE. ISHARON ISHARON MAIN DIL LENE WALA.NAHIN KOI GAYAK YAHAN TUJH SE AALA.BADAN PE SITARE LAPETE HUYE.SHAMMI GA RAHA HAI TERE HI TARANE YAHI HAI TAMMNA TERE GHAR KE SAMNA MERI JAAN JAAYE YUN DHARMA HAI GAYE.

  9. BALWANTSAQI says:

    RAFI TU THA GAYAK BADA HI NIRALA.TUJHE YAAD KARTE HAIN HERO PURANE.KARAIN PESH TUJH KO KHIRAZE AQEEDAT JINHON KE LIYE TUNE GAYE THE GANE. HAIN GAYAK KARODON ZAMANE MAIN LEKIN.MUKABIL PE TERE NA AWAAZ KOI.BANE ROZ KITNI YAHAN DEKH FILMAIN.YE GAATE HAIN SARE MAGAR DIL NA MANE.HUME PAYAR TUJH SE THA PAHLE KO JITNA. TUJHE AAJ BHI HUM KARAIN YAAD UTNA. BARAS TEES TUJH KO GAYE KO HUYE HAIN MAGAR BHOOL PAYE NA TERE DIWANE

  10. gokuldas kumar.m says:

    Dear sarah modiji,
    Laak Laak shukriya!!! No doubt, there was so much of divinity in the singer called Muhammad Rafi, when he lived. Therefore, his divine soul, wherever it is, will most certainly bless you that you have taken pains to conceive such a gazal to honour him! I wish if only this land were born with more and more true music lovers like you!! because, I am fed up reading comments from certain ‘music lovers’, who compare this unmatched singer to other singers and rate him next !! By the way I too am a very huge fan of Rafi.
    god bless you.

  11. mehboob says:

    Sarah ji,

    thank you very much for your permission.
    And indeed your name will be mentioned as the author.

    Thank you again.
    Best regards

  12. Sarah Modi says:

    Dear Aliuddin and Mehboob Saab,

    I will be happy to allow you to use my ghazal in “urdu times” or on local radio station to make it reach more Rafi fans. As long as I am given credit for writing it, I want nothing more. Please feel free to spread this ghazal in praise of Rafi. I thank you for your kind words and appreciation.

    Sarah Modi

  13. mehboob says:

    Hi Sarah ji,

    I too request that you grant me to ask the dj in Leicester UK to announce this ghazal / poem on the local radio station around the 31st July.
    I’m sure the local radio staion dj Don Kotak would be very happy to read it out who is incidentally also a Rafi fan.

    Please accept my request.

    Many thanks
    Mehboob

  14. Khaja Aliuddin,MD says:

    Sara Bahen, Salam,
    Agar aap ijazath den tho mai yeh Ghazal , Chicago ke “Urdu Times” me print karne ke liye doon?. Most probably around July 31 on Rafi Sahab’s death anniversary. Please respond me.
    Die hard fan of Rafi sahab,
    With regards to all Rafi lovers,
    Dr. Khaja Aliuddin,
    Chicago

  15. zorawar says:

    My congratulations to Ms. Modi not only for writing this beautiful poem about a beautiful person but also for your sentiments, for the maestro, that have come out with your words.
    Your sentiments :
    a) Very true like Rafi Sahab,
    b) very devotional like Rafi Sahab,
    c) very touching like Rafi Sahab and
    d) above all, very pious like Rafi Sahab
    May Rafi Sahab and God shower all their blessings to you.
    Long Live Rafi Sahab !

    regards,
    Zorawar Chhugani
    Founder Gen. Secy
    Rafi Foundation Memorial Society, Delhi
    # 9810224991

  16. That is why the music director maestro Naushad-ji had commented `Sabhi Gaate hai Lekin Rafi Dilse Gaata Hai’.

    Namaste

    Hemant Sampagaonkar

  17. Narayan says:

    Well done Ms Sara Modi ji your poem has touched all the hearts who love and rever the noble soul Rafi sahab

    Narayan

  18. Girish says:

    Superb

  19. Sarah Modi says:

    Dear Mr. B.Saqi,

    You need not be ashamed at all. Like any art, writing is a constant process of learning. I take no offense to your comments and am always prepared to learn more. I appreciate your sentiments and praise for the ghazal. I think that anyone who is a Rafi fan has a heart that is tender and loving. Thanks to you and to all for appreciating my work. Regards,

    Sarah Modi

  20. H.A.K. Walijah says:

    Sarah Modi Ji,

    Is naacheez ki taraf se Rafi saab to khiraje Aqeedat:

    ” Teri Awaz gunjti hai bheed main, veerane main
    Yeh junoon dekh kar sab hairan hain deewane main
    Kabhi bhula na paya teri yaad bhule se bhi
    Bajta hai koi na koi tera geet mere kaashane main ”

    Tujh sa na hua aur na hoga zamane main
    kayee aye aur gaye gavayye is bazaar main.
    Deedar ho jata hai kabhi kabhie khwaab main bhi
    Phir aankehn roti hain intezaar-e-deedar main.

    H.A.K. Walijah

  21. Lt Col Javed Sayyed says:

    I had written my appreciation for Ms Modi earlier today-around 0945 hours. the same has been deleted? may I know the reason? Is it in the name of moderation? There was nothing to moderate in it. It was purely harmless, & only intended to encourage the poet-a rafi admirer!! earlier too my comments have been deleted without any plausible reason. can someone answer to this?

  22. balwantsaqi says:

    Dear Sara Modi

    I am very Ashamed That What i had written about you to consult any of the master poet. Alas! why i commented in a hurry about you to consult to the master poet.

    I regret contrite that i wrongly expressed my views without carefully reading your poem.

    Dear Sara Modi please pardon me i am so sorry about my comment. You need not to consult to master poet because you are yourself is a master poet. You written this poem as a master piece your Urdu knowledge is much
    better then me.I honors you and your work is really praise worthy. B. SAQI

  23. Lt Col Javed Sayyed says:

    Dear Ms Modi,
    What nice gazal dedicated to our Rafi sahab. Your hearty rendition & choice of exact words are truely appreciative. A very nice effort. Keep up the good work, always.

  24. Sarah Modi says:

    Thank you all for appreciating this Ghazal so much. The responses are quiet heart-warming. Its Rafi saab’s jaadu that made me write this. Hum to zarra hain, woh aasmaan….hum hain gaafil, woh humari pehchaan. Special thanks to Walijah saab and Dr. Yaadav. Your comments have touched my heart.

    Ms. Sarah Modi

  25. Sanjeev Dixit says:

    Sarah Modi Ji,
    Very nice Gazal on Rafi Sahab written by you.I really enjoyed it.
    “Ye kewal ek Gazal nahi balki Dil ki gahraai se nikli hui ek aawaz hai” Aur ise ek Rafi Bhakt hi mahsoos kar sakta hai.
    Thanks for sharing this with us.
    Regards,
    -Sanjeev Dixit

  26. H.A.K. Walijah says:

    Post: 14
    Mr. Gautam Banerjee,

    What you have written is O.K. and one sided. You can find the plenty of information about Rafi saab on this site and other sites as well, but even though I personally think that is very little information about his private life as well as professional life compare to other film personalities, because he was totally a media shy person and a family man. He was not believing in show off or pomp. Even what we know about this great singer is having information only in bits and pieces. Actually there was no proper biography written for this saint among singers. It is a way of expressing the love from a fan having his/her heart filled with joy and love. I did not come across a poem like this anywhere extolling the singer. So please do not discourage the fans of Rafi saab to stop writing such things. What you have written it is only from your point of view, you do not know what other fans think and feel about this great singer.

    It is just my point of view to your post, nothing personal.

    Regards

    H.A.K. Walijah

  27. Shashi says:

    Beautiful Sarah. You are very talented.

  28. J.K. Bhagchandani says:

    Wah Modi saab, bahut khoob. You have left us (all Rafi fans) speechless. Just one word to describe your poetry: Brilliant. Like Rafi saab voice.

  29. Gautam Banerjee says:

    I am a Md. Rafi fan since my early childhood in early 60s. I see this site for knowing the unknown facts about Rafi chacha and not for what some Rafi fan’s ghazal. I also do not like the article who compares Md. Rafi with other super great singers. We fans of Rafi know he was BEST. We don’t have to belittle others in ordeer to proof Rafi’s supremacy. These articles should be stopped in the name of the great soul Md. Rafi. He would not like it himself had he was alive today. Instead we should write more about his professional and private life stories.

    Gautam Banerjee.

  30. A S MURTY says:

    Behad behatareen Modi ji. Lijiye, meri taraf se ek chhota sa nazrana, Rafi Sahab ke liye.

    ??? ?? ?? ?????? ??, ??? ?? ?? ?? ???
    ??? ??? ????? ?? ??? ???? ?? ?????? ???

    HOSH JAB SE SAMBHALA HAI, HOSH HI UD GAYE HAIN !
    KUCH AJAB SUROOR HAI RAFI SAHAB KE TARAANON MEIN !!

    Aapki ghazal padhkar behad mazaa aaya aur dil ko kaafi raahat bhi mili hai. Isi tarah se likhte rahiyega.

    A S MURTY

  31. jasbir singh zando says:

    yeh awaaz ka khuda hamari govt ko dikhai kyon nahin deta,she is honouring only political bigwigs for honourable awards not genuine n real master of voice ruling for mopre than 60 yrs…bilions start their day and end their hard working with everfresh khuda ki awaaz…….jitni tarif karo kum hai…kudos to modisaab,,,long live rafisaab….

  32. H.A.K. Walijah says:

    Sarah Modi Ji

    Taarif us Khuda ki Jis ne Rafi ko banaya
    Madhur swar gale main daal kar hum ko sunaya
    Dekho mera karishma kah kar sab ko dikhaya
    Mohabbat itni thi Rafi se ki apne paas bulaya
    Hum chahne walon ko umar bhar rulaya

    Well done and well written, a nice tribute to Rafi saab

    Keep it up.

    Best regards

    H.A.K. Walijah

  33. balwantsaqi says:

    Dear Sara Modi

    I read Today a poem written by you for Rafi sahib is really very beautiful. Your
    sentiments and emotions are deepest and Purest they came straight from your heart.
    You might write very beautiful poems. But i request you please consult any of master poet.

    Regards

    Balwantsaqi

  34. Jayant Sanyal says:

    Dear Mr. Modi,

    No words of appreciation can be high enough, no words of appreciation can be adequate enough, appreciate the outstanding work done by you. Each word of your Ghazal is worth to be weighed in Gold. The Ghazal has so very beautifully brought out the ecstasy, the delight, the joy, the peace of mind that any song from the Master gives all of us and drives away the feelings of negativity and unhappiness. Many Congratulations!

    “Ghamon se bhari is Duniya mein,
    Chaain aur Sukoon ka paighaam hain Rafi
    Dil ki Bequaraari Ka quaraar Hain Rafi”
    Shor-o-gul is maahol mein, Murli ki Taan Hain Rafi!

  35. Nasreen says:

    I will just echo Hussein Sheikh Sahab and Khaja Aliuddin Sahab and say “Wah” and Bahut Khoob”. You have put your feelings so wonderfully in words. Thanks for sharing this. I have also written a poem for Rafi Saab but it does not come near yours, even though the feelings are all the same. Rafi Sahab’s memory will live forever in the hearts of his fans all over the world.

    Well done!!

    Nasreen

  36. wah modi bhai !!! aapke diwanepan ki koi dawa nahin….
    wo fizayen ya ghatayen hi qya,jahan rafi ki hawa nahin….

    dard ke maaron ki dawa,bhatkte yaaron ki raah,
    izhar-e mosiqi,andaj-e dilkashi,
    masti-e paimano,husan-e jalwon,
    pyas hasraton ki,ahsaas sason ki,
    shayron ka khayal,zahaanat ki misal…..
    AUR KHUDA KA EK KAMAAL HAIN RAFI**************

    What a soulful and divine shayari for eternal rafi sahab by you !!!
    kudos my dear rafi bhakt.
    keep it up.

    oonka muskurata hua chehra,wo dilkash andaaj…….
    mere bhi ruh-e jahan mein is kadar basi hai rafi ki aawaj,
    saute huve bhi gaata rahta hoon oosi ke geet……….
    oothte hi oosi ke nagmo se hota hai mere din ka aagaj,
    jo dilon ki dhadkan ko rok de,nashile paimano ko bhi tod de….
    duniya ke shor-e gul me,sookoon se bhari hai rafi ki aawaj,.

    dr.s.s.yadav,
    haryana.

  37. jasbir singh zando says:

    kya kamaal hai aap rafisaab,ke aap ke diwane aap se itni mohabbat karte hain,jab hum aap ki awaaz sunte hain,aap une jeene ki raah dlkhatain hain….wonderful ..modibhai…

  38. Mehboob says:

    wah! wah! wah!
    is ka kya jawab doon?
    simply exquisite and beautiful.

  39. mohamed parvez says:

    DEAR SARAH MODI JI YOUR GHAZAL IS SUPERB ,IAM INVITING YOU TO VISIT RAFI SAABS BLOG,YOU WILL FIND,ARTICLES,RARE PICTURES,SLIDE SHOWS,SONGS,INTERVIEWS,TO READ THE ARTICLE CLICK ON ARTICLE,TO GO TO NEXT PAGE CLICK ON OLDER POSTS VISIT ALL THE PAGES TAKE CARE

    http://www.rafifanblog.blogspot.com/

  40. H.A.K. Walijah says:

    Sarah Modi Ji

    Taarif us Khuda ki Jis ne Rafi ko Banaya
    madhur swar gale main daal kar hamein sunaya
    Dekho mera karishma kahkar sab ko dikhaya
    Mohabbat itini thi Rafi se ki apne paas bulaya
    hum chahne walon ko umar bhar rulaya…..

    Very well written and expressed in beautiful language with beautiful words.

    Thanks a million

    High Regards
    H.A.K. Walijah

  41. Khaja Aliuddin,MD says:

    Bahut khoob,
    ” Aawaz ki ek shama hawaon me jaga kar
    Khamoosh Rafi hogaye dil apna dikhakar”
    Yousuf Quadri – Chicago

    With regards to all Rafi lovers,
    Dr. Khaja Aliuddin

  42. Hussein Sheikh says:

    Wah Modi bhai….

Post your Comment on Facebook





Receive updates in your inbox. Enter your email address:





Other Writeups


Social Collaboration