Database
Search
Track Movie

Kya Huva Tera Waada
Film Name:Hum Kisise Kam Nahin
Year:1977
Singer(s)Mohd Rafi Sushma Shrest   
Lyricist:Majrooh Sultanpuri 
Musician(s):R.D.Burman
Lyrics
Save Kya Huva Tera WaadaPrint Kya Huva Tera WaadaMR: kya hua tera waada woh kasam woh iraada (2)
bhulega dil jiss din tumhe
woh din zindagi ka aakhri din hoga
kya hua tera waada woh kasam woh iraada

SS: bhulega dil jiss din tumhe
woh din zindagi ka aakhri din hoga
kya hua tera waada woh kasam woh iraada

MR: yaad hai mujhko toone kahaa tha tumse nahin roothenge kabhi
dil ki tarah se aaj mile hai kaise bhalaa chhutenge kabhi
teri baahon mein beeti har shaam
bewafaa yeh bhi kya yaad nahin
kya hua tera waada woh kasam woh iraada
bhulega dil jiss din tumhe
woh din zindagi ka aakhri din hoga
kya hua tera waada woh kasam woh iraada

oh kehne waale mujhko farebi kaun farebi hai yeh bataa
woh jiss ne gham liya pyaar ki khaatir ya jiss ne pyaar ko bech diya
nasha daulat ka aisa bhi kya
ke tujhe kuch bhi yaad nahin
kya hua tera waada woh kasam woh iraada
bhulega dil jiss din tumhe
woh din zindagi ka aakhri din hoga
kya hua tera waada woh kasam

-- Contributed by Chitralekha
-- Oct 05, 2003
Remarks - extra Information
Extra Information not available! Would you like to add it?
Search
Track Movie




Copyright © 2000-2007. All Rights Reserved. Entries (RSS) and Comments (RSS). Advertise | Sitemap