Database
Search
Track Movie

Falsafa Pyar Ka
Film Name:Duniya (1968)
Year:1968
Singer(s)Mohd Rafi    
Lyricist:Hasrat Jaipuri 
Musician(s):Shankar Jaikishan
Lyrics
Save Falsafa Pyar KaPrint Falsafa Pyar KaFalsafaa pyaar ka tum kyaa jaano

Falsafaa pyaar ka tum kyaa jaano
Tumne kabhi pyaar naa kiyaa
Tumne intezaar na kiyaa
Falsafaa pyaar ka tum kyaa jaano

Khoobsoorat ho magar pyaar ke andaaz nahin
Ye kamee hai ki tumhara koi hamraaz nahin
Dil mein jab dard nahin baat banegi kaise
Saaz chheda bhi magar pyaar ki aawaz nahin

Falsafaa ..pyaar ka tum kyaa jaano

Kaise samajhaoon ye naazuk saa fasaana tumko
Yeh woh manzar hai jo mehsoos hua karta hai
Rahti duniya mein wahi rehta hai mar kar zinda
Pyaar ke naam pe jo jaan diya karta hai

Falsafaa.. pyaar ka tum kyaa jaano

Pyaar shirin ne kiya pyaar hi laila ne kiyaa
Pyaar meera ne kiya pyaar hi radha ne kiyaa
Pyaar har rang mein logon ko sada deta hai
Pyaar ke parde mein humsub ka khuda rehta hai

Falsafaa.. pyaar ka tum kyaa jaano

Tumne kabhi pyaar naa kiyaa
Tumne intezaar na kiyaa
Falsafaa pyaar ka tum kyaa jaano

-- Contributed by Raviraj
-- 6th Dec 2004
Remarks - extra Information
Extra Information not available! Would you like to add it?
Search
Track Movie




Copyright © 2000-2007. All Rights Reserved. Entries (RSS) and Comments (RSS). Advertise | Sitemap